Badon ko pranaam dosto ko namskaar,
aaj mein apni ek nai gazal ke saath yahan haazir hu. ummid hai apka saath milega sada ki tarha....gour kijiye ji
Khaak me mil jayegi shaksiyat meri gar tu chala gaya, jiite ji mar jayegi JAAN ye teri gar tu chala gaya, NAA JANA CHHOD KE MUJHE KABHI...SAVAAL KARUNGI BAHOT GAR TU CHALA GAYA...HAA GAR TU CHALA GAYA
Bichad gai saanse meri, bina ruh tan chalu kaise,
khuda ne milaya tujhse, khuda se gila jatau kaise...
kured kured ke likha thha naam tera apne dil pe,
ab dil se naam mitau to akhir mitau kaise...
nishan baki hai ab bhi tere labo ke mere gaalo pe,
lahu bahake palkon se in galo ko neh'lau kaise...
jin raaton me shadiiik mahhobbat kii thhi tuune,
aaj un suunii raaton ko mein sulaau kaise...
panaahon me teri din biite umar guuzari,
fiir teri yaadon ko dil se bhuulau kaise...
in nigaaho me tassavur hai tera aaj bhi,
banaake ashq tujhe nigaho se giraau kaise...
bachaati rahi jiss chaman ko fiizao ke rukh se,
aaj usi chaman ko sehara me bahau kaise....
ba'basta rahi "POOJA" ki khushiya sadaa tujhse,
ab tu hi bataa zindagi pe apni kaffan bichhau kaise...
JAVAAB DE, AAKHIR MAHOBBAT APNI KABAR ME CHHOD AAU KAISE
Monday, May 26, 2008
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment