Titile: Zindagi se shikayat
Hey eshwar tune kiya hai kya?Ped, poudhe, sarita-samudra, van-sumanSab khush aur teek!Par ye manav! uska tune kyon nirman kiya?Ise to hai har cheez se shikayat.Rota zyada, hasta kam.Karta anyay aur hai -hai kartaJab aye gham.Barsat se shikayatTo garmi mein karta hai-hai!Sardi me to pada rahta bistar par,Nahin bhata use surya ka bhi darshan.Koi kam bole to kahta 'Ghamandi'Koi zyada bole to baatein lagti 'Betuki'Koi tofa de to dekta uska 'Moolya'Nahin deta to kahta 'Kanjoos'.Mausam se, manav se, pashu se, suman se, van se,Tan-man-dhan se hai use shikayat,Hey prabho tune ise kyon rachaya?
No comments:
Post a Comment